Thursday, 21 February 2013

Urdu Riddles

Urdu Riddles

Q 1: Raja Rani kaho kahani, aik gharey me do rang pani! Boojo tu jaane?

A: Anda (Egg)



Q 2: Wo kon si cheez hai jis ko agar zameen pe painko to nahi tootti, Lekin agar pani mein painko to toot jati hai.

A: Aks (Reflection)



Q 3: Hik nikka ja sapahe, us ne chik keh wardi lai!!

A: Goli (Bullet)



Q 4: Aik dibbey me battis daney Boujney waley barey seyane.

A: Mou’n (Mouth)



Q 5: Ravan dance club me jata hai. Uski entry fees baki sab se 10 guna jayada thi. Bolo kiyun?

A: Kiyun ki entry fees thi: Per-Head Rs 500/-



Q 6: Wife maike jakar Husband ko roj phone kyon karti hai?

A: Taki Husband ko yad rahe musibat tali nahi, phir aane vali hai!!!



Q 7: Hari thi man bhari thi, no lakh moti se juri thi, miya ji ke bagh me, noh lakh shole auri khari thi!

A: Bhutta (Corn)



Q 8: Pakistan Ka Aìsa City bataen Jis Ko Urdu Mai Likhtay Waqt 15 Nuqtay Dalnay Partay Hain?

A: Pak Patan Sharif



Q 9: Ek aadmi ki 6 ungliaaan thi, Sab log usey Akbar bulate the, Kyo?

A: Kyonki Akbar uska Naam tha.



Q 10: Shadi se pehle dulhan ka baap dulhe ko kya deta hai? Jo shadi k baad wapas leta hai..?

A: Sukh aur Chain.



0 comments:

Post a Comment

Comment here......

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...