Showing posts with label Qataat. Show all posts
Showing posts with label Qataat. Show all posts

Wednesday, 8 January 2020

Andheri raat me rehte to kitna acha ta

Andheri raat me rehte to kitna acha ta,

hum apni zat me rehte to kitna acha ta,

dukon ne bant liya hay tmhare bad hamay,

tumhary hat me rehte to kitna acha ta.

Monday, 20 August 2012

Nazar ka chain dil ka suroor hotay hain

Nazar ka chain dil ka suroor hotay hain,

kuch aise log jahan main zaroor hotay hain,

sada chamakta rahay unki EID ka tehwaar,

qareeb reh kay bhi hum se jo dor hotay hain.

Hum app ki yaad main udas hain

Hum app ki yaad main udas hain,

Bas app say milnay ki ass hay,

Chahay dost kitnay hi kion na hoon,

Maray liye tu app hi sab se khas hain

Sunday, 19 August 2012

kal raat chupke se chand zamin par aaya

kal raat chupke se chand zamin par aaya,

Meri andheri duniya ko chandni se sajaya.

Yun to Roz dekhta tha dur se meri veeraniyo ko

Par jane kal usko mujhpar itna pyar kyo aaya

Allah kary har raat chand banke aye

Allah kary har raat chand banke aye
Din ka ujala shaan ban ke aye
Kabhi na dur ho apky chehre se muskurahat
Har din aysa mehman ban k aye

Saturday, 14 April 2012

Mohabbat Khoob Ki Hum Ne

Mohabbat Khoob Ki Hum Ne, 
Nibhai Bhi Bohat Lekin, 
"Na UsKi Ibtedaa Samjhey, 
Na UsKi Intehaa Samjhay. 

main ayina ta wo mera khayal rakti te ,

main ayina ta wo mera khayal rakti te ,

main totta ta wo chun kar sambal rakti ti

bichar ke us se main dunya ki tokaron main hon, 

woh pas ti tu mjy lazawal rakti ti

Friday, 13 April 2012

Asman K Tare Aksar Pocha Karte Han

Asman K Tare Aksar Pocha Karte Han
 Kya Tumhe Ab Bhi Intzar Hai Uske Laut Aane Ka
 Or Dil Muskura K Kehta Hy 
Mujhe To Ab B Yaqen Nhi Us ke jany ka

Ja ke samandar ke kinary

Ja ke samandar ke kinary 
tum apne Hatho main pani utha lena
 jitna tum uthalo wo tumhari chahat 
or jo utha na sako wo hamari chahat

Thursday, 29 March 2012

Tokar lage to apne muqadar pe ro pary,

Tokar lage to apne muqadar pe ro pary,
phir u hoa ke aaina pathar pe ja gira
ehsas e farz jab hua to raat a gai
chalna ta pu seerat pe bistar pe agaya....

Friday, 23 March 2012

Raat dalny lagi hay sapnon main

Raat dalny lagi hay sapnon main
aag sulgao abgenon main
dil ushaaq ki khabar lena
phool kelte han en maheenon main..

Tumhari Baat Lambi Hay,

Tumhari Baat Lambi Hay,
Daleelain Hain Bahanay Hain,
Humari Baat Itni Hay,
humari Zindagi Tum Ho 

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha ,

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha ,
Per dharkanon ne Usi ko Khuda banaya tha ,
Main khawab khawab jise doondhta phira barson
Woh ashk ashk meri aankh mein samaya tha .......

tu mere pas na te per bi sahar hone tak,

tu mere pas na te per bi sahar hone tak, 
tera har sans mere jism ko chu kr guzra
qatra qatra tere dedar ki shbnam tapki
lamha lamha tari khushbo se muatar guzra

Tuesday, 13 March 2012

hum wahan han jaha se ham ko bi

hum wahan han jaha se ham ko bi 
kuch hamari khbr nhi ati 
marty han arzoo main marne ke
 mout aty hy par nhi ati 

Monday, 12 March 2012

Allah se kary door to taleem bhi fitna

Allama iqbal
Allah se kary door to taleem bhi fitna
amlak bhi aulad bhi jageer bhi fitna
na haq k liye uty to shamsheer bhi fitna
shamsheer he kya naraye takber bhi fitna

Wednesday, 29 February 2012

kabi kbi jo tere qurb me guzary te

kabi kbi jo tere qurb me guzary te
ab un dino ta tasaur bi mere pas nhi
mjy ye dar hy tari arzo na mit jay
buht dino se tabyat mari odas nhi

Khabi yaad awo tu es tarha ke lahu ki sari tamazatain

کبھی یاد آؤ تو اس طرح کہ لہو کی ساری تمازتیں
تمہیں دھوپ دھوپ سمیٹ لیں
تمہں رنگ رنگ نکھار دیں
تمہیں حرف حرف میں سوچ لیں

Pas reh kr judai ki tuj se

 Pas reh kr judai ki tuj se
Door reh kr tujy talash kiya
me ne tera neshan gum kr ke
apne andr tujy talash kiya

Sunday, 26 February 2012

kabi anso kabi khushbo kbi nagma ban kr

kabi anso kabi khushbo kbi nagma ban kr
hm se har sham mile hy tera chehra ban kar
mari jagi hoi raton ko usi ke hay talash
so raha hay meri ankhon main jo sapna ban kar...

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...