Sunday, 19 August 2012

Ab ky Phr Eid Ka Din Aa Puhncha hai

Ab ky Phr Eid Ka Din Aa Puhncha hai
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai
chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed
her Kiran hath main thamay ayee
Chand nikla hai…
mager hasrat se…
Chand ki simat meri ankhien taki jati hain
chand akash se takta hai mager…Ankh chura laita hai
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban
us se dekhi nahi jati shayad
meri go-yaee maira sath nahi de pati
ke main us se teri babat pochoon
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se
Janne kion tall raha hai yeah sawal
kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi
Eid Ka Lamha…Wasaal
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi
ik Aur naya din ho gi
din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien
Durd ko aur jaga detien hain
Karab ko aur bharha detien hain
Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli
Akhri Saans ki hud per puhnchi
Meri umeed ke saray jugnu
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain
Hont hansnay ke huner se Aari
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda
Ankh se khawab alag
mar gaye harf-e-dua
toti sansoon ke hontoon per
Faqat Sard See …Aaah
Dobtay dil se bikherti See Sada Ati hai
Kash…. Aye Kash Ke yeah eid Ka Chand
apnay hathoon yeah sandes deta
mujh se kehta ke huwa hijer tamam
Aye mairay chand teri Eid ki shab mairay naam
Ab Faqat mairay naam
kash yeah sandes millay
Kash
neelay Akash Pe nikla hai abhi Eid ka chand
Dil ke Akash Pe dobay ga abhi eid ka chand
dil ke akash se totay ga abhi Eid ka chand

0 comments:

Post a Comment

Comment here......

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...