vo shanon’n pe zarkar anchal uchale
idhar se udhar mast zulfon ko dale
mian aur bache khuda key hawale
haseen hath mein narm file sambhale
kis andaz se naaz farma rahi hai
keh jaise chaman mein bahar aarahi hai
mubahis mein yun garam guftar hain sab
keh bas larne marne ko taiyar hain sab
fason kar hain sab, tarah dar hain sab
barabar barabar ki sarkar hain sab
idhar asghari bhir gayi akbari se
udhar tafil rone lage gallery se
“sapenchon” mein gote kinari ki batain
Bahu ki kifayat shuari ki batain
Prosan ki parhaiz gari ki batain
Gharz har bihayi,...