Friday, 20 July 2012

vo shanon’n pe zarkar anchal uchale

vo shanon’n pe zarkar anchal uchale
idhar se udhar mast zulfon ko dale
mian aur bache khuda key hawale
haseen hath mein narm file sambhale
kis andaz se naaz farma rahi hai
keh jaise chaman mein bahar aarahi hai
mubahis mein yun garam guftar hain sab
keh bas larne marne ko taiyar hain sab
fason kar hain sab, tarah dar hain sab
barabar barabar ki sarkar hain sab
idhar asghari bhir gayi akbari se
udhar tafil rone lage gallery se
“sapenchon” mein gote kinari ki batain
Bahu ki kifayat shuari ki batain
Prosan ki parhaiz gari ki batain
Gharz har bihayi, kunwari ki batain
Rawa'n hain hojum tajalli key dhare
Yeh aanchal simte, wo gesu sawanre
Dam-e-guftagu koi jaise na hare
Sitaron se takra rahe hai sitare
Bua ko to dekho nah gehna na pata
Bagett hath mein jaise dhoban ka khata
Ba andaz-e ghaiz-o-ghazab bolti hain
Ba aawaz-e shor-o- shghab bolti hain
Nahi bolti hain to kab bolti hain?
Mayan apne khwab mein gum ho gai hain
Abhi jagti thi'n abhi so gayi hain

0 comments:

Post a Comment

Comment here......

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...