Kal main inhi Raston se guzra to buhat roya
Sochi huii baaton ko socha to buhat roya
Dil mera her ik shai ko aayena samgha hai
Dhalty hoye suraj ko dekha to buhat roya
Aasan to nahi apni hasti se guzar jana
Utra jo samander mein to buhat roya
Jo shaksh na roya tha tapti rahoon mein
Dewar ke saye mein baitha to buhat roya
Jis moj se ubhara tha us moj pa kiya guzri
Sehra mein wo baadal ka tukra to buhat roya
Hum teri tabiyat ko Khursheed nahi samjhe
Pathar nazar Aata tha “Roya” to buhat roya

0 comments:
Post a Comment
Comment here......